हालात

Bachpan mein yeh shabd na kabhi kaha na kabhi suna tha
Iss shabd ko bas ittefaq ne humare liye chuna tha

Ab toh har galti, har haar ki bas ek hi baat hai
Sabka ek hi naam - woh ek haalat hai

Haalat aise, jo hum kabhi badal na sake, par jisne humein badal diya
Haalat aise, jisne humein harake bhi, humein safal kiya

Jo chaaha tha woh toh hum yahaan kabhi paa na sake
Jo paaya hai usi ko hum chaahna seekhe

Nafrat karte hai hum in ajeeb haalat se
Jo chaha tha din mein, mila woh humein raat mein

Aur jo chaha raat ko, woh bas khwaab samajh kar ro diye
Bandh aankhon mein inn aansuon ko chupa kar so diye

Lekin uth ke bhi hara na sake, yeh aisi museebat hai
Kyun ki ab toh yeh haalat hi humaari haqeeqat hai

Comments

Post a Comment

Popular posts from this blog

Of work...and not much else

Compromise

Sleepless Nights